ghamon mein Dhaal gaya lauT kar nahin aata

ghamon mein dhaal gaya laut kar nahin aata
jo pichhle sal gaya laut kar nahin aaya

bichhad gaya hai wo khushiyan samet kar aur gham
mujhe sambhaal gaya laut kar nahin aaya

ajab tilism hai us ki hasin aankhon mein
udhar khayal gaya laut kar nahin aaya

main khud bhi soch mein gum hun ki tere aane se
kidhar malal gaya laut kar nahin aaya

ajib shakhs tha khinch kar salib-e-waqt pe wo
hamein ujal gaya laut kar nahin aaya

kata wo shahr se phir jab teri gali se kata
shikasta haal gaya laut kar nahin aaya

sitam-zarif riwajon ki ot mein ai 'ayaz'
mera hilal gaya laut kar nahin aaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close