ghar kisi ka bhi ho jalta nahin dekha jata hum se chup rah ke tamasha nahin dekha jata teri azmat hai tu chahe to samundar de de mangne wale ka kasa nahin dekha jata jab se sahra ka safar kat ke ghar lauta hun tab se koi bhi ho pyasa nahin dekha jata ye ibaadat hai ibaadat mein siyasat kaisi is mein kaba ya kalisa nahin dekha jata mere lahje pe na ja qaul ka mafhum samajh baat sachchi ho to lahja nahin dekha jata aks ubhrega 'nafas' gard hata de pahle dhundhle aaine mein chehra nahin dekha jata