ghar mein baiThun to shanasai bura manti hai

ghar mein baithun to shanasai bura manti hai
bahar aa jaun to tanhai bura manti hai

meri nadani dikhati hai karishme jab bhi
sahab-e-waqt ki danai bura manti hai

mah-o-anjum ki sawari pe nikalta hun jab
dasht-e-aflak ki pahnai bura manti hai

bahr ki tah mein utarta hun khazanon ke liye
ye alag baat ki gahrai bura manti hai

jab mere zakhm mahakte hain to 'tariq'-sahab
ibn-e-dauran ki masihai bura manti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close