ghar mein bashinde to ek naz mein mar jate hain aur jo ham-sae hain aawaz mein mar jate hain kabk o taus ko chalta hai tu thahra ke to hum teri raftar ke andaz mein mar jate hain muzhda ai yas ki yan kunj-e-qafas ke qaidi yak-ba-yak mausam-e-parwaz mein mar jate hain hain tere ramz-e-tabassum ke ada-fahm jo shakhs jumbish-e-lal-e-fusun-saz mein mar jate hain lab hilane nahin pata wo ki hum nadida bas wahin baat ke aaghaz mein mar jate hain tausan-e-naz ko phenke hai wo jis dam sarpat log kya kya na tag-o-taz mein mar jate hain 'mushafi' dasht-e-bala ka safar aasan hai kya saikadon basra o shiraaz mein mar jate hain