ghar se bahar nikal kar duniya ko bhi dekha kar faslen kat burai ki achchhai ko boya kar neki dal ke dariya mein apne aap se dhoka kar sab ko padhta rahta hai apne aap ko samjha kar budhe bargad ke niche dil tute to baitha kar mahfil mahfil hansta hai tanhai mein roya kar duniya pichhe aaegi dekh to duniya thukra kar padh ke sab kuchh sikhega dekh ke bhi kuchh sikha kar dushman hon ya dost 'aziz' sab ko apna samjha kar