ghar se main jab bhi akela nikla mujh se pahle mera saya nikla phad kar daman-e-sahra nikla mere andar se jo dariya nikla ek tabassum jo mila tha mujh ko wo bhi ek zakhm-e-tamanna nikla jis pe kal sang-e-malamat barse aaj wo dar pe isa nikla aaina dekha jo uryan ho kar jism hi jism ka parda nikla jis ne ye bhid laga rakkhi thi khud wo us bhid mein tanha nikla chehra ijad hai aaine ki aaina nikla to chehra nikla aaj ek khat ko jo khola 'qaisar' us mein suraj ka sarapa nikla