ghar sulagta sa hai aur jalta hua sa shahr hai zindagani ke liye ab do-jahan ka qahr hai jao lekin surkh shoalon ke siwa paoge kya sansanate dasht mein kali hawa ka qahr hai dil ye kya jaane ki kya shai hai hararat khun ki jism kya samjhe ki kaisi zindagi ki lahr hai ai mohabbat main teri betabiyon ko kya karun badh ke chashm-e-yar se barham mizaj-e-dahr hai bhar raha hun kis sharab-e-dard se jam-e-ghazal ruh mein kuchle hue jazbaat ki ek nahr hai zindagi se bhag kar 'parkash' main jaun kahan ghar ke bahar qahr hai aur ghar ke andar zahr hai