ghazal ke misra ko misra se joda jata hai tamam raat ghamon ko nichoda jata hai purane jal se bahar nikalna mushkil hai isi liye to riwayat ko toda jata hai utar gaya hun to ab jitna hi manzil hai yun hum se bhi kahan maidan chhoda jata hai uthana padta hai phir hath gar nahin sudhre han pahli bar mein hathon ko joda jata hai yahan pe hindu bhi honge yahan musalman bhi ye shairi hai yahan sab ko joda jata hai dikha diya mere dushman ne dosti kar ke ghurur tuta nahin hai to toda jata hai likha tha nam jahan tu ne khun-e-dil se mera wahin se ishq ke kaghaz ko moda jata hai