ghubar-e-dard se sara badan aTa nikla

ghubar-e-dard se sara badan ata nikla
jise bhi khanda-ba-lab dekha gham-zada nikla

ab ehtiyat bhi aur kya ho be-libas to hun
ek aastin se mana ki azhdaha nikla

mere khulus pe shak ki to koi wajh nahin
mere libas mein khanjar agar chhupa nikla

laga jo pith mein neza to samjhe dushman hai
magar palat ke jo dekha to aashna nikla

mere lahu se hai rangin jabin-e-subh to kya
chalo ki zulmat-e-shab ka to hausla nikla

ye hath rakh mein khwabon ki dalte to ho
magar jo rakh mein shola koi daba nikla

suna tha hadd-e-tabassum hai aansuon se qarib
badhe jo aage to barson ka fasla nikla

wo ek harf-e-tamanna jo kahte darte the
zaban pe aaya to un ka hi muddaa nikla

kulah kaj kiye din bhar jo shakhs phirta tha
gali mein sham ko dekha to wo gada nikla

tulu subh 'naimi' jahan se honi thi
usi ufuq se andheron ka silsila nikla


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close