ghubar-e-waqt mein ab kis ko kho rahi hun main

ghubar-e-waqt mein ab kis ko kho rahi hun main
ye barishon ka hai mausam ki ro rahi hun main

ye chand pura tha be-ikhtiyar ghatne laga
ye kya maqam hai kam-umr ho rahi hun main

is abr-e-baran mein manzar barasne lagte hain
baras rahi hai ghata baal dho rahi hun main

main gard-baad ka ek sar-phira bagula thi
khalaen odh ke ru-posh ho rahi hun main

ye sham waqt se pahle chhupa na de suraj
sunahri dhup mein chunari bhigo rahi hun main

udas os mein gum-gashta aansuon ki kasak
larazti kanpti mala piro rahi hun main

khala mein kho gain baaten hansi ki aawazen
sukhan-shikasta hun alfaz kho rahi hun main

main ji rahi hun ya jine ka wahm hai mujh ko
na-jaane jag rahi hun ki so rahi hun main

ye zard sham jo suraj ganwae baithi hai
'sahar' sitara-e-aflak ho rahi hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close