ghup andhera tha ja-ba-ja mujh mein raat rahti thi ba-khuda mujh mein main to sar ko jhukae baitha tha ishq ne sar utha liya mujh mein gham yahan se nikal nahin paya chaar jaanib tha hashiya mujh mein mera hi rup dhaar kar koi der tak chikhta raha mujh mein jaane kis kis ne raat kati yahan jaane kis kis ko tu mila mujh mein chhat girai to rasta nikla phir tamasha sa lag gaya mujh mein meri tah tak pahunch nahin paya ek patthar jo gir pada mujh mein teri aawaz gunjti thi kabhi ab to rahta hai bas khala mujh mein sare manzar chhupa diye us ne wo jo tera ghubar tha mujh mein phal hi phal the yahan wahan 'mohsin' ek shajar tha jhuka hua mujh mein