ghus ghusa kar sahi rawan to hai dil budhape mein bhi jawan to hai go mazamin nahin hamare pas shaeri ke liye zaban to hai raaz to na hua jo batla dun warna tu achchha raaz-dan to hai ghusse mein ishq ko kaha gali aur tu kah rahi hai han to hai teri taswir khinchne ke baad camera zeb-e-dastan to hai aql rahti hai gham jahan sab ki wo bhi aakhir koi jahan to hai ho siyasi ya chahe jazbaati samain ke liye bayan to hai chhod kar jaane ka ho faeda kya meri sochon mein karwan to hai kuchh kharidari ke liye 'muzdam' khwab mein hai magar dukan to hai