giraftari ke sab harbe shikari le ke nikla hai

giraftari ke sab harbe shikari le ke nikla hai
parinda bhi shikari ki supari le ke nikla hai

nikalne wala ye kaisi sawari le ke nikla hai
madari jaise sanpon ki pitari le ke nikla hai

bahar-qimat wafadari hi sari le ke nikla hai
hatheli par agar wo jaan pyari le ke nikla hai

safari suit mein tata safari le ke nikla hai
wo lekin zehn o dil par bojh bhaari le ke nikla hai

yaqinan hijraton ki jaankari le ke nikla hai
agar apne hi ghar se be-qarari le ke nikla hai

khilaune ki tadap mein khud khilauna wo na ban jae
mera bachcha sadak par rezgari le ke nikla hai

agar duniya bhi mil jae rahega hath phailae
ajab kashkol duniya ka bhikari le ke nikla hai

khata-kari meri ummid-war-e-daman-e-rahmat
magar mufti to quran o bukhari le ke nikla hai

jhalakta hai mizaj-e-shahryari har bun-e-mu se
ba-zahir 'khair' harf-e-khaksari le ke nikla hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close