girti hai to gir jae ye diwar-e-sukun bhi jine ke liye chahiye thoda sa junun bhi ye kaisi ana hai mere andar ki musalsal dekhun use lekin nazar-andaz karun bhi khul kar to wo mujh se kabhi milta hi nahin hai aur us se bichhad jaane ka imkan hai yun bhi aisi bhi koi khas talluq ki faza ho mahfil mein jab us ki na rahun aur rahun bhi wo raaz jo bas us ki nigahon ne padha hai ji chahta hai main use honton se kahun bhi us waqt kahin ja ke ghazal hogi mukammal aankhon se tapak jae jo ek qatra-e-khun bhi