go dahr ke naqshe mein hain bahar bhi nahin hum

go dahr ke naqshe mein hain bahar bhi nahin hum
rakhte hain nishan aur ujagar bhi nahin hum

kyun hum se phir ummid-e-sadaf bandh rahe ho
jab tum ko pata hai ki samundar bhi nahin hum

khushbu ki tarah phul ke pinjre mein nahin band
aazad fazaon ka muqaddar bhi nahin hum

ehsas hai phir khana-badoshi ka hamein kyun
rahne ko thikana bhi hai be-ghar bhi nahin hum

kaise ho khad-o-khal se pahchan hamari
mani ki tarah lafz ke andar bhi nahin hum

parwaz sabab kaise ho bachchon ki khushi ka
titli ki tarah mushaf-e-gul par bhi nahin hum

is ka ye taqaza hai ki ahkaam baja laen
jis husn ka sarkar ke naukar bhi nahin hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close