goya ki chhini pairon ke niche ki zamin hai kya pas tere jhuti tasalli bhi nahin hai hum ne to use kar hi diya dil se bahut dur par us ka khayal us ki mohabbat to yahin hai malum hai yarab hai tu shah-e-rag se qarin-tar wo shakhs magar jo meri dhadkan ke qarin hai hain aap hi kyun haalat-e-afsos ki ja par kya hogi 'anam' aap ki jab apni nahin hai