gulab-e-surkh se aarasta dalan karna hai phir ek sham-e-visal-angi tujhe mehman karna hai siwa tere har ek shai ko hata dena hai manzar se aur is ke baad khud ko be-sar-o-saman karna hai main apna dasht apne sath le kar ghar se nikla hun fana karna hai khud ko aur alal-ailan karna hai wafa ke goshware mein mera pahla khasara tu tere hi nam par darj aakhiri nuqsan karna hai main teri bargah mein naqd-e-jaan tak nazr kar aaya to kya kuchh aur bhi mujh ko ada tawan karna hai 'hasan' ko bewafa kahne mein dukh to hoga tujh ko bhi magar ye kar-e-mushkil tu ne meri jaan karna hai