gulon ke parde mein shaklen hain mah-jabinon ki

gulon ke parde mein shaklen hain mah-jabinon ki
ye daliyan hain ki hain doliyan hasinon ki

ye aastinen nahin hain chuni hui zalim
balaen li hain nigahon se aastinon ki

kisi ke jalwe sar-e-arsh chhup nahin sakte
ki dur rasan hain nigahen buland binon ki

pas-e-fana bhi na khali rahen ye qasr-e-rafia
na hon makin to qabren rahen makinon ki

kis intiha ki nazakat hai mere sheron mein
nazar lage na kahin un ko nukta-chinon ki

jo nind aae to yun aae maut aae to yun
hamare samne shaklen hon mah-jabinon ki

hum apne mulk-e-sukhan ko wasia karte hain
hamein talash hai har-dam nai zaminon ki

unhen gharaz meri baaten khade khade sun len
sunenge baith ke wo apne ham-nashinon ki

kahan wo chandni raaten wo chand ke tukde
na ab wo hum hain na shaklen hain mah-jabinon ki

utarte hain nae mazmun jo aasman se 'riyaz'
talash rahti hai hum ko nai zaminon ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close