gulon ki chah mein tauhin-e-barg-o-bar na kar bhare chaman mein ye saman-e-intishaar na kar khizan riyaz-e-chaman hai khizan gudaz-e-chaman khizan ka dar ho to phir khwahish-e-bahaar na kar bas ek dil hai yahan waqif-e-nasheb-o-faraaz wafa ki rah mein rahbar ka intizar na kar hujum-e-gham mein tabassum ka khel dekh liya main kah raha tha mere gham ka e'tibar na kar kaha ye ishq se dar-o-salib-e-zindan ne majal ho to meri rah ikhtiyar na kar ye taza taza qafas kya khizan se kuchh kam hain hujum-e-gul hi se andaza-e-bahaar na kar nasim-e-subh unhen muskura to lene de abhi gulon se koi zikr-e-nagawar na kar udhar har ek nazar mein hai hasraton ka julus idhar ye hukm-e-haya hai nigahen chaar na kar ye puchhna hai kisi din janab-e-'zaidi' se ki aap ne to kaha tha kisi se pyar na kar