gulon pe shabnam nahin lahu hai ye kaisi saughat-e-rang-o-bu hai bahaar khanjar-ba-dast aai har ek manzar lahu lahu hai koi tamanna nahin hai mujh ko sukun-e-dil ki hi aarzu hai main ek muddat se lapata hun mujhe khud apni hi justuju hai ye be-dili ki namaz teri guman hota hai be-wuzu hai is ko aksar main sochta hun meri ghazal ki jo aabru hai mera nahin hai 'asad' ye chehra to kaun shishe mein ru-ba-ru hai