gum-sum baiTha soch raha hun dil mein ek junun bhare

gum-sum baitha soch raha hun dil mein ek junun bhare
kitni bechaini dete hain wo do nain sukun bhare

aa sakte ho dekhni ho gar virane mein shadabi
mere andar sahra hain aur sahra bhi zaitun bhare

qadam qadam par qurbani de qadam qadam par dukh jhele
har rishte ki god mein kitni khushiyan ek khatun bhare

yaad kisi ki bhar deti hai ek khumar sa aankhon mein
qurb kisi ka jaise meri rag-rag mein afyun bhare

dil ki baat kisi ko samjhane ki khatir ghazlon mein
kaise kaise sher kahe hain aur kya kya mazmun bhare

rangon mein 'shahbaz' khushi ka rang numayan tha us par
meri salgirah par jis ne sanson se balloon bhare

aaj use 'shahbaz' hamare dukh-sukh ka ehsas nahin
pahle pahle khat likhti thi wo jo hum ko khun bhare


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close