guman hadd-e-nazar tak kya tha lekin kya nazar aaya jidhar dariya ki maujen thin udhar sahra nazar aaya mujhe fursat kahan apni basirat se main ye puchhun wo kaisa aaina tha kaun sa chehra nazar aaya samundar band ho kar rah gaya tha jis ki mutthi mein tajjub hai wo bazigar sarasima nazar aaya to kya aab-e-rawan se pyas apni dhul nahin sakti ye kaisa silsila aakhir sarabon ka nazar aaya chalo ye bhi dilase ke liye kuchh kam nahin 'raunaq' makan jab jal gaya tab abr ka tukda nazar aaya