gunahgaron ki uzr-khwahi hamare sahib qubul kije karam tumhaare ki kar tawaqqoa ye arz kite hain man lije gharib aajiz jafa ke mare faqir be-kas gada tumhaare so wen sitam sin maren bichaare agar jo un par karam na kije pade hain hum bich mein bala ke karam karo waste khuda ke hue hain bande teri raza ke jo kuchh ke haq mein hamare kije bipat padi hai jinhon pe gham ki jigar mein aatish lagi alam ki kahan hai taqat unhen sitam ki ki jin pe ita itab kije hamare dil pe jo kuchh ki guzra tumhaare dil par agar ho zahir tu kuchh ajab nahin pathar ki manind agar yatha dil ki sun pasije agar gunah bhi jo kuchh hua hai ki jis sin ita zarar hua hai to hum sin wo be-khabar hua hai dilon sin is kun bhulae dije hue hain hum 'abru' nishane lage hain tane ke tir khane tera bura ho are zamane bata tu is tarah kyun ki jije