gunge lafzon ka ye be-samt safar mera hai

gunge lafzon ka ye be-samt safar mera hai
guftugu us ki hai lahje mein asar mera hai

main ne khoe hain yahan apne sunahre shab o roz
dar-o-diwar kisi ke hon ye ghar mera hai

mera aslaf se rishta to na tod ai duniya
sab mahal tere hain lekin ye khandar mera hai

aati jati hui faslon ka muhafiz hun main
phal to sab us ki amanat hain shajar mera hai

mere aangan ke muqaddar mein andhera hi sahi
ek charagh ab bhi sar-e-rahguzar mera hai

dur tak dar-o-rasan dar-o-rasan dar-o-rasan
aaise haalat mein jina bhi hunar mera hai

jab bhi talwar uthata hun ki chhedun koi jang
aisa lagta hai ki har shane pe sar mera hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close