guzre waqt ki shayad tujhe khabar kam hai mere safar mein koi tujh sa ham-safar kam hai gila muaf magar main jahan pada hua hun mere charagh teri raushni udhar kam hai sharik-e-haal hui thi jahan kahin duniya faqat wahin se tera hijr-e-mo'atabar kam hai gai ruton mein bahut guftugu rahi jis se bhare chaman mein wo bas ek hi shajar kam hai teri nazar mein na hongi wo muntazir shamen ki dil-gali se to yun bhi tera guzar kam hai badan se aage jo badhta nahin tabib mere so dil ke zakhm ki jaanib teri nazar kam hai