haal-e-dil hum ne sunaya to bura man gae ashk aankhon mein jo aaya to bura man gae wada karke jo na aae to koi baat nahin bewafa kah ke bulaya to bura man gae jis ke har lafz mein har band mein nam un ka tha hum ne wo git sunaya to bura man gae wo jo ghairon se ham-aghosh hua karte hain un ko pahlu mein bithaya to bura man gae aap ne jashn charaghon ka manaya lekin ek diya hum ne jalaya to bura man gae jam pe jam uthate rahe pine wale hum ne jo hath badhaya to bura man gae naz pe naz uthaya to bade achchhe the nind se un ko jagaya to bura man gae aib har shakhs mein jo dhund rahe the 'anjum' aaina un ko dikhaya to bura man gae