haal hawa jab puchhne aai hum majburon se

haal hawa jab puchhne aai hum majburon se
koi baat kahan ban pai hum majburon se

aaj sabhi dukh aansu ban kar aankh mein tair gae
khel rahi thi khel khudai hum majburon se

wo be-parda wo be-parwa wo yak-sur yak-tal
baat kare ya wo harjai hum majburon se

panw tod ke baith rahe hain rah ke patthar bhi
chah rahe the rahh-numai hum majburon se

kis aahat ki bahaar se pag pag dhul ke phul khile
kis mausam ne thokar khai hum majburon se

kis ke lams ke aks-numa hain khushbu ke jhonke
puchh na baithe gul-e-sahrai hum majburon se

baal nichod ke jhatke kis ne dukh ke dal-baadal
puchh rahi hai ye purwai hum majburon se

dard ke rukh darwaze rakhen chand ke rukh khidki
kash kirae wo chunwai hum majburon se

kar-e-numu aaghaz rahega gor ho ya gulshan
rut ne sikhi gul-arai hum majburon se

aankhen honton ke tale bhi khulte dekhengi
duniya chhin to le goyai hum majburon se

rah dikhane wale kis din kis pal aa pahunchen
kab chhin jae ye binai hum majburon se

nur-e-charagh taq-e-taghaful dil tarik na kar
bol kuchh ai mah-e-yaktai hum majburon se

zahr-piyala pi lo 'khalid' sulag utho 'khalid'
kya kya kahti thi shahnai hum majburon se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close