habs tari hai musalsal kaisa ab ke barsa hai ye baadal kaisa jis se ehsas ki sadiyan guzrin tha judai ka wo ek pal kaisa le ke nazrana-e-jaan kaun aaya jashn sa hai sar-e-maqtal kaisa teri tausif se khali ho agar lafz ho jata hai mohmal kaisa wahi din raat mohabbat ka junun dil bhi kam-bakht hai pagal kaisa us ne to lab abhi khole bhi nahin shor-e-naghma hai musalsal kaisa un ke aane ki khabar se 'shair' dil hua jata hai bojhal kaisa