hadd-e-fasil to faqat dard ka sahra nikli

hadd-e-fasil to faqat dard ka sahra nikli
chashm-e-afsurdagi-e-khushk hi dariya nikli

su-ba-su bhatke nigahon mein liye us ki si
ek surat bhi kisi dar na daricha nikli

hum ki mauhum si hasrat bhi liye phirte hain
kitne hain jin ki har ek khwahish-e-beja nikli

ek zara thes lagi tut gai himmat-e-jaan
aahani jis ko samajhte the wo shisha nikli

chir kar parda-e-zulmat ko nida-e-ghaibi
raushni bantne duniya ko hamesha nikli

roz-o-shab ek nai ummid nai si uljhan
aazmaish jise samjhe the natija nikli

na-muradi ka hai kohra sa dil-o-zehn pe wo
koi khwahish si to nikli hai magar kya nikli

umr bhar sath rahe yaad teri dukh ho ki sukh
kya samajhte the ise hum ye magar kya nikli

qarya-e-zar mein mila ye bhi nazara har su
dhup rangon ki liye dukhtar-e-hawwa nikli

dar chatakne ki khushi par hi bikharne ka hua
bu-e-gul phut ke jab ghuncha-ba-ghuncha nikli

khwab yun bhi kabhi tabir mein apne na dhale
zindagi apni kisi zist ka hissa nikli

kya sabab hai ki tula hai tu mitane pe hamein
aasman ek bhi kiya apni tamanna nikli

waqt ka koh-e-giran kat ke farhad banun
kaamrani isi raste se hamesha nikli


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close