hadis-e-shauq kahen ya karen hayat ki baat har ek baat teri chashm-e-iltifat ki baat khizan ka zikr bhala mausam-e-bahaar mein kya tulua-e-subh-e-darakhshan mein kaisi raat ki baat hadis-e-dard-o-alam ko agar alag kar len to kis zaban se karen karb-e-kaenat ki baat bahaar-e-mai-kada-o-saqi-o-sharab-o-shabab koi sune to kahen dil ke wardat ki baat gham-e-hayat ka darman na kar sake lekin bahut hi ghaur se sunte rahe hayat ki baat rah-e-talab mein nasheb-o-faraaz-e-manzil ki unhen khabar jo samajhte hain hadsat ki baat main apne hosh bhi qaem na rakh saka jab 'faiz' wo ek raat ka qissa hai ek raat ki baat