hadisa aisa bhi zer-e-asman hona hi tha barg-e-gul ko khak shoale ko dhuan hona hi tha talkh jitni ho haqiqat ko ayan hona hi tha zindagi ko sat pardon mein nihan hona hi tha jo na sunna tha wo afsana bayan hona hi tha yani apni koshishon ko raegan hona hi tha reza reza tut kar bikhre dar-o-diwar-e-dil lamha lamha khana-e-jaan ka ziyan hona hi tha saat-e-be-mehr meri zindagi ko das gai lamha-e-saffak ko mujh par ayan hona hi tha waqt se pahle hawa ne kan mein kuchh kah diya fasl-e-gul ke aate hi dil ka ziyan hona hi tha jaanta hun naz phir bhi sabr ki taqat nahin bagh-e-dil ko ek din nazr-e-khizan hona hi tha