hadsa hota raha hai mujh mein bar-ha koi mara hai mujh mein meri mitti ko pata hai sab kuchh kaun kab kitna chala hai mujh mein khatm hota hi nahin mera safar koi thak-haar gaya hai mujh mein apne andar main sametun kya kya sara ghar bikhra pada hai mujh mein kashtiyan dub rahi hain 'azar' ek tufan utha hai mujh mein