hae kaisi wo sham hoti hai dastan jab tamam hoti hai ye to baaten hain sirf zahid ki kahin mai bhi haram hoti hai sham-e-furqat ki uljhanen tauba kis ghazab ki ye sham hoti hai ishq mein aur qarar kya mani zindagi tak haram hoti hai ho ke aati hai jab udhar se saba kitni nazuk-khiram hoti hai ye tasadduq hai un ki zulfon ka meri har subh sham hoti hai jab bhi hoti hain jannaten taqsim hur zahid ke nam hoti hai lamhe aate hain wo bhi ulfat mein jab khamoshi kalam hoti hai pine wala ho gar to saqi ki har nazar daur-e-jam hoti hai har ada hum ada-shanason ki zindagi ka payam hoti hai waqt thahra hua sa hai 'naushad' na sahar aur na sham hoti hai