hai bad bala kisi ko gham-e-jawedan na ho ya hum na hon jahan mein khuda ya jahan na ho aain-e-ahl-e-ishq kahan aur hum kahan ai aah shola-bar na ho khun-chakan na ho fel-e-hakim ain salah o sawab hai saqi agar sharab na de sargiran na ho tadbir tark-e-dushman-e-jaan ki hai raat din kis tarah phir mujhe gila-e-dostan na ho kya wo mata'a jis ki na ho koi ghat mein darta hun main jo duzd pas-e-karwan na ho jab tak farogh-e-mai se na ho sina nur-zar hargiz harif-e-mai-kada asrar-dan na ho lazim hai yar bhi to ho betab warna kya wo ishq hai ki ranj yahan ho wahan na ho nahaq wo ji jalate hain sauda-e-ishq par jin ko ye soch hai ki kuchh is mein ziyan na ho hum bu-e-dost tujh ko sunghaenge 'shefta' mahw-e-shamim turra-e-ambar-fishan na ho