hai bahaar apni gul apne hain na gulshan apna hai qafas hum jise samjhe the nasheman apna nazr-e-bad-zauqi-e-gulchin to hue lala-o-gul aur kanton ko bhi tarsa kiya daman apna barq tinkon ko jalati hai jalae lekin hum yahin aur bana lenge nasheman apna meri mahrumi ke dam se hai hamiyyat ka bharam samne un ke na phaila kabhi daman apna aaj bhi jin ko hai dawa-e-nizam-e-jamhur dil ke aaine mein dekhen rukh-e-raushan apna mere zakhmon ko agar aap na dekhen na sahi khun-alud hai kyon dekhiye daman apna hum ne apnon ko bhi begana kiya jis ke liye aaj tak ban na saka wo but-e-pur-fan apna phir karen qaum ko talqin-e-mazahib 'talat' jaeza pahle to len shaikh-o-barahman apna