hai bhare darakhton ke bawajud ban tanha roz-o-shab ke hangame phir bhi anjuman tanha ratjagon ke wo sathi kis jahan mein baste hain kya hamin tak aaegi subh ki kiran tanha zulf ki hasin raaten kis pe saya-afgan hain mere ghar tak aai hai bu-e-yasaman tanha teri yaad ne uth kar mujh se kal ye puchha tha apne gham ke sahra mein ja sakoge tan-tanha kuchh kami na thi dil ki kucha-e-mohabbat mein ek hum hi aae the le ke jaan-o-tan tanha hae ye shab-e-wada dil ka haal kya kahiye hajla-e-urusi mein jis tarah dulhan tanha thi khuda ki shirkat bhi warna bojh nafrat ka kis tarah utha pae shaikh-o-barahman tanha