hai bhi aur phir nazar nahin aati dhyan mein wo kamar nahin aati mangta hun magar nahin aati ye ajal waqt par nahin aati tere kushton ka roz-e-hashr hisab ghairat o fitna-gar nahin aati taba apni bhi ek aandhi hai khak udani magar nahin aati abr kis kis tarah barasta hai sharm ai chashm-e-tar nahin aati tum to yun mahw-e-zulm ho ki hamin aah karni magar nahin aati nazr kuchh kar ke dil ko le ki ye jins muft ai muft-bar nahin aati mukhtasar haal-e-dard-e-dil ye hai maut ai chaaragar nahin aati yarab aabaad ku-e-yar rahe ki qayamat idhar nahin aati nind ka kaam garche aana hai meri aankhon mein par nahin aati be-tarah padti hai nazar un ki khair dil ki nazar nahin aati be-pari ne uda rakha hai mujhe hasrat-e-baal-o-par nahin aati sab kuchh aata hai tu nahin aata gar wafa sim-bar nahin aati apni is aarzu ko kya kosun aab wahan tegh par nahin aati jaan deni to hum ko aati hai dil ko taskin agar nahin aati ghair kuchh mangta hai dekhen to hai tumhein kis qadar nahin aati dil ki apne jigar pe lun lekin ek ki ek par nahin aati dushman aur ek nigah mein laut na jae chot puri magar nahin aati tera kucha hai misr-e-nazara ki palat kar nazar nahin aati un ka aana to ek aana hai maut bhi waqt par nahin aati 'anwar' is shab ki dekh lo takhir subh hoti nazar nahin aati