hai chaman mein rahm gulchin ko na kuchh sayyaad ko ab khuda hi shad rakkhe bulbul-e-nashad ko sujhti thi koh-o-sahra mein yahi har dam mujhe kijiye gham qais ka aur roiye farhad ko hichkiyan aati hain par lete nahin wo mera nam dekhna un ki faramoshi ko meri yaad ko yaad mein un ke hawas-e-khamsa de dete hain hum aah ko nale ko ghul ko shor ko fariyaad ko jaegi gulshan talak us gul ki aamad ki khabar aaegi bulbul mere ghar mein mubarakbaad ko naza ke dam bhi unhen hichki na aaegi kabhi yunhi gar bhule rahenge wo 'sakhi' ki yaad ko