hai dil mein ghubar us ke ghar apna na karenge hum khak mein milne ki tamanna na karenge kyunkar ye kahen minnat-e-ada na karenge kya kya na kiya ishq mein kya kya na karenge hans hans ke wo mujh se hi mere qatl ki baaten is tarah se karte hain ki goya na karenge kya name mein likkhun dil-e-wabasta ka ahwal malum hai pahle hi ki wo wa na karenge ghairon se shakar-lab sukhan-e-talkh bhi tera har chand halahil ho gawara na karenge bimar-e-ajal-chaara ko gar hazrat-e-isa achchha bhi karenge to kuchh achchha na karenge jhunjhlate ho kya dijiye ek bosa dahan ka ho jaenge lab band to ghaugha na karenge diwar ke gir padte hi uthne lage tufan ab baith ke kone mein bhi roya na karenge gar samne us ke bhi gire ashk to dil se kyun roz-e-jaza khun ka dawa na karenge kis waqt kiya mardumak-e-chashm ka shikwa ai parda-nashin hum tujhe ruswa na karenge naseh kaf-e-afsos na mal chal tujhe kya kaam pamal karenge wo mujhe ya na karenge us ku mein thaharne na diya josh-e-qalaq ne aghyar se hum shikwa-e-beja na karenge gar zikr-e-wafa se yahi ghussa hai to ab se go qatl ka wada ho taqaza na karenge 'momin' wo ghazal kahte hain ab jis se ye mazmun khul jae ki tark-e-dar-e-but-khana karenge