hai dushmanon se bhi wabasta husn-e-zan mera yahi kamal hai mujh mein yahi hai fan mera main mausamon ke taghayyur se kanp uthta hun bhari bahaar mein ujda tha kal chaman mera main dasht chhod ke aaya hun ai nagar walo ki lagte lagte lagega yahan pe man mera hai itni bhuk mere warison ko wirse ki kharid lae mere jite-ji kafan mera usi ne ek naya zakhm de ke chhod diya ki dastiyab jise bhi hua badan mera tamam shahr hi naqqad ho gaya 'adil' parakh rahe hain kasauti pe sab sukhan mera