hai guzar arsh-e-barin tak nala-e-shab-gir ka dekhiye to silsila tuti hui zanjir ka bar-e-sar se mujh ko ai qatil subuk-doshi hui hai meri gardan pe ye ehsan teri shamshir ka dekh kar un ko mujhe sakta hai wo khamosh hain samna hai aaj ek taswir se taswir ka sath mein us ke nikal aaya hai kya mera jigar dekhte hain kis liye paikan wo apne tir ka ki buton ke dar pe main ne jubba-sai umr-bhar par mita ab tak na wo likkha hua taqdir ka naqsh se bahzad bhi hairan hai misl-e-aina ai pari-paikar wo aalam hai teri taswir ka ghair ke pahlu mein ai 'shoala' nahin un ko qarar hai asar itna hamari aah-e-pur-tasir ka