hai intizar faqat phir bahaar aane ka pata lagaega sayyaad aashiyane ka bulaya bazm mein phir aankh-bhar nahin dekha malal kya mere mayus laut jaane ka mara jo ganw mein faqon se us ka soem hai kiya hai mir ne ye intizam khane ka badal gaya hun ki haalat ka taqaza tha jawaz koi nahin pas tere aane ka hua hun dur jo apnon se sar pe ban aai bada junun tha pardes mein kamane ka girani honton ki muskan le udi yaro bahana dhund ke laya hun muskurane ka pada hai aundha mohabbat ka shahsawar tha jo bada tha shauq use bakht aazmane ka kaha-suna jo kabhi tum muaf kar dena khayal dil se nikala hai tum ko pane ka kabhi to bin-kahe bhi baat man leta tha 'rashid' gur use aaya hai ab satane ka