hai ishq mein nairangi-e-taslim-o-raza aur karta hun agar shukr to samjhe hai gila aur rindon ki nawa aur hai saqi ki nawa aur ya-rab sar-e-mai-khana koi mast ghata aur afsana-e-gham itna to dilchasp nahin tha jab main ne kiya khatm to zalim ne kaha aur dil hila-e-inkar-e-junun dhund raha hai han mere liye kuchh shikan-e-zulf-e-dota aur jab sabr ka yara hai to phir gham ka maza kya gham hi meri qismat hai to ai mere khuda aur manzil hai zara dur abhi kaif-e-bala ki ai rind-e-khush-anjam koi laghzish-e-pa aur hai kuchh to sabab kashmakash-e-shauq ka aakhir tum ne hi kaha aur ki main ne hi suna aur dil mahwiyat-e-gham mein hua subh-faramosh ai shaikh-e-haram aaj muazzin ki sada aur ya-rab meri niyyat ki khabar tujh ko to hogi main ye nahin kahta ki farishton ne likha aur kya jaane kahan khatm ho ashkon ki kahani phir un ke tabassum se ek afsana chhida aur mahrum-e-mohabbat ise kya samjhega 'jauhar' gulshan ki hawa aur hai daman ki hawa aur