hai kis qadar halak-e-fareb-e-wafa-e-gul bulbul ke karobar pe hain khanda-ha-e-gul aazadi-e-nasim mubarak ki har taraf tute pade hain halqa-e-dam-e-hawa-e-gul jo tha so mauj-e-rang ke dhoke mein mar gaya ai wae nala-e-lab-e-khunin-nawa-e-gul khush-haal us harif-e-siyah-mast ka ki jo rakhta ho misl-e-saya-e-gul sar-ba-pa-e-gul ijad karti hai use tere liye bahaar mera raqib hai nafas-e-itr-sa-e-gul sharminda rakhte hain mujhe baad-e-bahaar se mina-e-be-sharab o dil-e-be-hawa-e-gul satwat se tere jalwa-e-husn-e-ghuyur ki khun hai meri nigah mein rang-e-ada-e-gul tere hi jalwe ka hai ye dhoka ki aaj tak be-ikhtiyar daude hai gul dar-qafa-e-gul 'ghaalib' mujhe hai us se ham-aghoshi aarzu jis ka khayal hai gul-e-jeb-e-qaba-e-gul diwanagan ka chaara farogh-e-bahaar hai hai shakh-e-gul mein panja-e-khuban bajae gul mizhgan talak rasai-e-lakht-e-jigar kahan ai wae gar nigah na ho aashna-e-gul