hai kitni khud-gharaz makkar duniya hum ne dekha hai khud apni hi tabahi ka tamasha hum ne dekha hai hamare ghar jale hain khud hamare hi charaghon se khuli aankhon se apnon ka irada hum ne dekha hai ye sajda-rez tak hoti hai duniya jabr ke aage kahin dar se baja lati hai mujra hum ne dekha hai qayamat-khez tufanon mein barsati hawaon mein ubharte dubte dil ka jazira hum ne dekha hai tasalli dene wale khud maza lete hain hans hans kar pas-e-ehsan-o-hamdardi dikhawa hum ne dekha hai saf-e-matam ki tayyari kahin shahnaiyan sargarm dikhati hai ye duniya rang kya kya hum ne dekha hai hua kya is se hasil mai-kade walo bata dena jo girne aur sambhalne ka tamasha hum ne dekha hai khulus-e-dil se sari sarhaden mil jati hain 'najmi' jahan milte hain sab raste wo rasta hum ne dekha hai