hai qissa muKHtasar mere safar ka

hai qissa mukhtasar mere safar ka
na pani hai na saya hai shajar ka

nahin hai jis pe tera naqsh-e-pa tak
bharosa kya hai aisi zindagi ka

chala hun jaanib-e-manzil mein lekin
nahin nam-o-nishan tak rahguzar ka

khayal-e-yar mein gum ho gaya hun
pata main kis se puchhun apne ghar ka

nahin sahba ki azmat se main munkir
ye nasha hai magar hai raat bhar ka

zamane bhar mein ruswa ho gaya hun
karishma hai ye bas teri nazar ka

'premi' jab bhi jalwa-gar wo hoga
badal jaega manzar baam-o-dar ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close