hai samundar samne pyase bhi hain pani bhi hai tishnagi kaise bujhaen ye pareshani bhi hai hum musafir hain sulagti dhup jalti rah ke wo tumhaara rasta hai jis mein aasani bhi hai main to dil se us ki danai ka qael ho gaya doston ki saf mein hai aur dushman-e-jaani bhi hai padh na pao tum to ye kis ki khata hai dosto warna chehra mushaf-e-amal-e-insani bhi hai zindagi unwan jis qisse ki hai wo aaj bhi mukhtasar se mukhtasar hai aur tulani bhi hai ratjage jo bantta phirta hai sare shahr mein wo fasil-e-khwab mein barson se zindani bhi hai be-tahasha wo to milta hai mohabbat se magar kuchh pareshani bhi hai aur khanda-peshani bhi hai apna ham-saya hai lekin fasla barson ka hai aisi qurbat itni duri jis mein hairani bhi hai zindagi bhar hum sarabon ki taraf chalte rahe ab jahan thak kar gire hain us jagah pani bhi hai 'ramz' teri tira-bakhti ki ye shab kat jaegi raat ke daman mein koi chiz nurani bhi hai