hai wahi marka-e-neki-o-shar mere baad tham na jaen kahin yaran-e-safar mere baad kam hain aise jo karen arz-e-hunar mere baad aaj ghamnak se hain ahl-e-nazar mere baad chand saat ke liye ruk bhi gaya ro bhi liya karwan phir bhi hai sargarm-e-safar mere baad jazb thin jis mein mere khun-e-wafa ki chhinten ban gaya sajda-gah-e-khalq wo dar mere baad hijr ki raat larazta hi raha palkon par qatra-e-ashk bana najm-e-sahar mere baad shayad ai dost tamashaon ke hangamon mein yaad aae meri mohtat nazar mere baad aaj anjaan bano bhul bhi jao lekin kya karoge meri yaad aae agar mere baad kyun bichhate ho meri rah mein kante yaro khair jari se badal jaega shar mere baad ab bhi shor-e-qadam-e-rah-rawan hai to wahi phir bhi suni hai teri rahguzar mere baad kya koi aur banata tha nasheman apna phir usi shakh pe hai raqs-e-sharar mere baad ek meri yaad ki mashal ke siwa kuchh bhi na ho raat is tarah se bhi hogi basar mere baad ye tamawwuj ye talatum ye shahadat ye shuhud khatm hai manzil-e-awwal ka safar mere baad ashk aankhon mein bhare us ne bhi dekha 'zaidi' aaj mahfil ko ba-andaz-e-digar mere baad