hai yaad josh ye jis waqt ashk-bari thi to ek nahr usi aastin se jari thi zamin-e-bagh pe girte hain tut kar tare sitara-dar qaba us ne kyun utari thi main aankhen band kiye tha wo dekhte idhar jise wo samajhte the ghaflat wo hoshiyari thi lahu ke ashk jo tapke to khul gaya ye raaz nigah thi dil mein ki utri hui katari thi mili hai dekhiye ye subh-e-hashr se ja kar lahad ki raat na thi sham-e-gham hamari thi nahin hain hum to chamakta hai subah ka tara ye raat wo thi jo bimar-e-gham pe bhaari thi