hain ahl-e-chaman hairan ye kaisi bahaar aai hain phul khile lekin hai rang na ranai un ke rukh-e-rangin se is saad-e-simin se phulon ne phaban pai suraj ne ziya pai sab mai-kade viran hain sunsan gulistan hain kahne ko ghata chhai kahne ko bahaar aai madhoshi-o-masti ka andaz nirala hai mai rindon ne pi kam hi paimanon se chhalkai tanhai mein rah kar bhi tanha nahin hote hum tanhai mein yaadon ki jab chalti hai purwai is daur mein jina bhi kuchh kam nahin marne se na-karda gunahon ki jaise ho saza pai hanste hue marne ko tayyar jo rahte hain aise hi jiyalon ne jine ki ada pai is daur ke insan ka andaz nirala hai apne ko adu samjhen ghairon se shanasai